Skip to content

Latest commit

 

History

History
63 lines (37 loc) · 4.42 KB

01-introduction.md

File metadata and controls

63 lines (37 loc) · 4.42 KB

01 : JavaScript Introduction

What is a programming language ?

Programming language set of instructions, symbols, and syntax hote hain jinka use software develop karne ka leya kia jata hai. Ye coding instructions kisi device/computer ke behaviour ko control krte hain. For example: C++, Java, Python. Har language ke apne features and benefits hote hain aur particular language ko particular tasks, projects ke lie kia jata hai.

What is high level programming language?

High level programming language vah programming language hoti hai jise is trah se design kia gya hai ki us language ko asani se likha, pdha vah smja ja skta hai. High level language ek english like nature language ke equal hi hoti hai. High level language ko sikhna asan hota hai. High level language kafi sare actions aise hote hain jo vo khud manage kr leti hai aur hume ni krne hote hain.. for example :

  1. memory managemant.
  2. communication with hardware.

What is machine level language or Low level languages?

Machine language jise ki machine code ya assembly language bhi jana jata hai, set of instructors hote hain jinhe CPU direct execute kr skta hai. Ye instructions 0 or 1 ki form me hote hain. Machine level language ki computer ki native language b kha jata hai. Low level language ka ek type hai assembly language jisme ki code likha ja skta hai. Assembly language me assembler hota hai jo ki assembly language ke code ko machine language ke code me convert krta hai.

What is front-end ?

front-end web development ka ek hissa hota hai jo ki kisi website, application ke user interface, user experience se deal krta hai. Other way me khe to front-end kisi be software ke vah part hota hai jise hm dekh skte hain, interact kr skte hain. Front-end me development krne ke lie HTML, CSS, JavaScript and JavaScript based libraries/frameworks ka use hota hai.

What is back-end ?

Back-end development ka vah part hota hai jisme kisi b website ya application ka server-side ka code likha jata hai. Backend me service side logics, database ka management etc hota hai.

Other language me khte to back-end software ka vah part hota jo behind the seen work krta hai. Aur vah front-end se jo requests aati hai unhe handle krta hain aur jo b required response hota hai vah return krta hai. for eample:

  1. Data save
  2. Data trasfer
  3. Data update
  4. Get data

Introduction of HTML

HTML stand for Hyper Text Markup Language.jo ki web page banane ka liye use hoti hai. web page ek html file hoti hai jo kisi bhi web site me ek page ko repersant karti hai. HTML ka use website bnane ke lie kia jata hai. Ek website kafi sare html pages ka group hota hai.

Introduction of CSS

CSS stands for cascading style sheet. CSS ka use html page me styling krne ke liye kia jata hai like color, text formatting, responsiveness etc.

Introduction of JavaScript

Javascript ek high level programming language hai jisko hum web me use karta hai. Javascript ki help se hum website ko intractive bana sakta hai for example button pr click krne pr koi action lena, animation etc. Phle javascript only web me use hoti thi lakin ab hum javascript ko beck-end me bhi use kar sakta hai. Javascript ko back-end me use karna ka leya node.js use me li jati hai.

History of javascript

Brendan Eich ne 1995 me JavaScript ko bnaya tha. Javascript ko phle mocha name se jana tha, bad me iska naam live script hua or last ma Javascript hua kyo ki java language us time popular thi. ECMA is JavaScript ko 1997 me standar bnaya tha.

What is ECMA ?

ECMA stands for European computer manufacture Association. ECMA script ek organization hai jo scripting language jaise ki javascript vah other scripting language jo ki web ke liye use hoti hai un ke liye standard banati hai. Koi bhi scripting language jise ki web ke lie bnaya jayega vah ECMAScript ke rules/standards follow kregi. ECMAScript ko short form me ES bhi bolte hain.

6 versions tak ES1, ES2, ES3, ES5, and ES6 kha jata hai pr bad vale versions ko year se jana jata hai like ECMAScript 2016, 2017, 2018, 2019, 2020.

Koi b web browser sare features ko support krta hai ya nhi iska b hume idea hona chaiye like kafi old browers latest features ko support ni krte hain. versions :

  1. es1=1997
  2. es5=2009 ES5 ECMAScript ka first major version tha jisme ki kafi important features release kie gye. like use strict feature ES5 me release kia gya tha.
  3. es6=2015 ES6 ECMAScript ka second major version tha. Jisme features like let, const, arrow fuctions etc release kiye gye the.